1. EH SABA MUSTAFA SE KEHDE NA
EH SABA MUSTAFA SE KEHDE NA
GHAM KE MAREY SALAM KEHTHE HAIN
YAAD KARTHE HAIN TUM KO SHAMO SAHAR
BE SAHARE SALAM KEHTE HAIN
- ALLAH ALLAH HUZOOR KEE BATEN
MARHABA RANG NOOR KI BATEN
CHAND JINKI BALAYEEN LEYTHA HAI
AUR TAREY SALAM KEHTE HAIN
- ZAA I REY KABA TU MADEENE MEiN
MERA AAQA SE ITNA KEH DENA
KAMLI WALE RASOOL SUN LI JYEE
GHUM KE MARE SALAM KEHTHE HAIN
-ZIKR THA AKHIRI MAHINE KA
TAZKIRA CHILE DAYA MADINE KA
HAJION MUSTAFA SE KEHDENA
BE SAHARE SALAM KEHTHE HAIN
2. Zahe muqaddar
Zahe muqaddar huzur-e-haq se salaam aaya payam aaya
Jhuka o nazreen bicha o palkeen adab ka aala maqam aaya
-Yeh kawn sar se kafan lapei tey chala hai ulfat ke raatey par
Firishtey hairat se tak rahe hain yeh kawn ziii ehteram aaya
zahe muqaddar….
-Faza mein labbaik ki sadain zi farsh taa aarsh goonjhtii hain
Har eik qurban ho raha hai zaban pe yeh kiss ka naam aaya
zahe muqaddar…
-Yeh rahe-haq hai sambhal ke chalna yahan hai manzil qadam qadam par
Pohanchna dar par to kehna aaqa salaam lijiye ghulam aaya
zahe muqaddar…
-Yeh kehna aaqa bohat se aashiq taraptey se choor aaya hoon mein
yeh kehna aaqa [ aaqa aaaaqa ]taraptey…
Bulawe ke muntazir hai lekin na subho aaaya na shaam aaya
zahe muqaddar…
-Dua jo nikli thi dil se aakhir palat ke maqbool ho ke aayee
Woh jazba jis mein tarap thi sachee woh jazba aakhir ko kaam aaya
Zahe muqaddar huzur-e-haq se salaam aaya payam aaya
3.ALLAH MERE ALLAH
ALLAH MERE ALLAH ALLAH MERE ALLAH
ALLAH MERE ALLAH ALLAH MERE ALLAH
-YA ILAAHI REHM KAR LIKHDEY MERI TAQDEER MEIN
RAWZAEY KHAIRUL BASHAR LIKHDEY MERE TAQDEER MEIN
-EY MERE RAB SHEHREY MAKKAH SEY MADINE KI TARAF
AANA JAANA UMR BHAR LIKHDE MERE TAQDEER MEIN
-GUZRE DIN MAKKE MEIN SHAB GUZRE MADINE PAAK MEIN
ROSHNI KA YE SAFAR LIKHDE MERI TAQDEER MEIN
-JITNEY BHI AYAAM AB BAAQI HEIN MERI ZEEST KE
HOO MADINE MEIN BASAR LIKHDE MERI TAQDEER MEIN
-YE SADAA HEIN ROOZO SHAB QALBE A’LIME ZAAR KI
PHIR MADINE KA SAFAR LIKHDE MERI TAQDEER MEIN
4.MAA SE PYAAR KARO
Maa sé pyaar karo, Maa sé pyaar karo
-Farmaané Mustafa hein Maa sé pyaar karo
Quraan mein likha hein Maa sé pyaar karo
-Maa ki baree hein azmat, qadmon talé hein jannat
Maa ka yé martaba hein Maa sé pyaar karo
-Maa ki duah jo leygaa duniya mein wo phaleygaa
Sarkaar ne kahaa hein Maa sé pyaar karo
-Jo Maa ka dil dukhaaey thookar jahan ki khaaein
Allah ki raza hein Maa sé pyaar karo
-Jinn ki nahin hein Maaein, jaa kar unhee se poucho
Dil dard sé bharaa hein Maa sé pyaar karo
-Ranjo balaa ké saaey, tujh pé HASSAN na aaey
Maa ki tujhé duah hein Maa sé pyaar karo
5.EY SHEHENSHAHE MADINA
Ey shehenshahé Madina assalaato wassalaam
Zeenaté ‘arshé muallah assalaato wassalaam
-Rabbi habli oummati kehté huwé paida huwé
Rab né farmaaya ké bakhsha assalaato wassalaam
-Mo’mino parhté raho tum apné Aaqa par durood
Hé farishton ka wazeefa assalaato wassalaam
-Sar jhooka kar baa-adab ishqé Rasoolullah mein
Keh rahaa tha har sitaara assalaato wassalaam
-Mein woh sunni houn Jameelé Qadri marné ké ba’ad
Mera laasha bhi kahéga assalaato wassalaam
6.EY SABZ GUMBAD WAALEY
EY SABZ GUMBAD WAALEY MANZOOR DUAH KARNA
JAB WAQT NAZAA AAEY DEEDAR ATAA KARNA
-EY NOORE KHUDA AAKAR AANKHON MEIN SAMAA JAANA
YA DARPE BULAA LEYNA YA KHWAAB MEIN AAJAANA
EY PARDA NASHEEN DIL KE PARDE MEIN RAHA KARNA
JAB WAQT NAZAA AAEY DEEDAR ATAA KARNA
-MEIN QABR ANDHERI MEIN GHABRAAOUNGA JAB TANHA
IMDAAD MERI KARNE AA JAANA MERE AAQA
ROSHAN MERI TOURBAT KO EY NOORE KHUDA KARNA
JAB WAQT NAZAA AAEY DEEDAR ATAA KARNA
-MUJRIM HOUN JAHAN BHAR KA MEHSHAR MEIN BHARAM RAKHNA
RUSWAAEY ZAMAANA HOUN DAAMAN MEIN CHUPAALEYNA
MAQBOOL YE ARZ MERI LILLAH ZARAA KA
JAB WAQT NAZAA AAEY DEEDAR ATAA KARNA
-CHEHREY SE ZIYAA PAAYI INN CHAAND SIRTAARON NE
USS DAR SE SHIFA PAAYI DUKH DARD KE MAARON NE
AATA HEIN UNHEIN SABIR HAR DUKH KI DAWAA KARNA
JAB WAQT NAZAA AAEY DEEDAR ATAA KARNA
7.BOHOT DIN HOO GAEY
Bahat din hoo gaey taiba ke raste dekhto Aaey
Chalo uss shehr ko ik baar phir sey dekhto Aaey
-Outar jaein gee mehroumee ki chaadar shehre taiba mein
Chamak outheingey qismat ke sitaarey dekhto Aaey
-Judaai ke dhuleinge naqsh gehre dil ki takhtee sey
Charheinga rang kurbatt wo nazaarey dekhto Aaey
-Usee din Aarzoon ke khandar mein roshnee hoogee
Dare sarkaar ke roshan ujaaley dekhto Aaey
-Huzooree ki wo pehli saa’at khoob rulaati hein
Nigaahon ko usee dar ki talab hein dekhto Aaey
-Haseen palkon ka chilmann kholeinge jaakar madine mein
Sadaa Aankhon mein rakheinge wo jalwe dekhto Aaey
-Mehekti khushbou ey khud hee pataa uss shehr ka deingi
UJAAGAR outho himmat karlo chalke dekhto Aaey
8.DELHI RAJASTAN TUMHAARA YA KHWAJA
Delhi Rajastan tumhaara ya Khwaja
Saara Hindustan tumhara ya Khwaja
-Aap pe hein faizaan Madiné Waaley ka, mere Khwaja
Hum par hein faizaan tumhaara ya Khwaja
-Hind mein nabhé laakh ko kalma parwaaya, mere Khwaja
Ham par hein ehsaan tumhaara ya Khwaja
-Saara Anaa saagar kouzé mein bhar aaya, mere Khwaja
Sounté hee farmaan tumhaara ya Khwaja
-SAYYAD ko Tayba ki galyan dikhlaana, mere Khwaja
Hum sab ko Tayba ki galiyan dikhlana, mere Khwaja
Hein adna darbaar tumhara ya Khwaja
9.YA RAB HEIN BAKSH DEYNA
YA RAB HEIN BAKSH DEYNA BANDON KO KAAM TERA
MEHROOM REH NAA JAEY KAL YE GHULAAM TERA
-HEIN TOUHI DEYNA WAALA PASTI SE DEY BALANDI
ASFAL MAQAAM MERA AALA MAQAAM TERA
-MEHROOM KYUN RAHOUN MEIN JEE BHAR KE KYUN NA LOUN MEIN
DEYTA HEIN RIZK SABKO HEIN FAIZ ‘AAM TERA
-IMAAN KI KAHEINGEY IMAAN HEIN HAMAARA
AHMAD RASOOL TERA MUSHAF KALAAM TERA
-SHAM SHUDDUHA MOHAMMAD BAD RUDDUJAA MOHAMMAD
HEIN NOORE PAAK ROSHAN HAR SUBHO SHAAM TERA
-YE DAAG BHI NA HOOGA TERE SIWAA KISSI KA
QAWNAIN MEIN HEIN JO KUCK WO HEIN TAMAAM TERA
10.YAHAN BAPA KA SIKKA
Main houn ‘Attari mujhé ‘Attariyon mein rakh Khuda
Murshidé ‘Attar peeré baa sabaa ké waasté
Yahan Bapa ka sikka chalta hein Bapa ka sikka chalta hein
Yahan Bapa ka sikka chalta hein Bapa ka sikka chalta hein
-‘Attar sé nisbat hein mujhko iss naam ka sadqa milta hein
Eik mein kya saaraa zamaana bhi, Bapa sé mohabbat karta hein
-Kiss qadar shaadaab dekho gulshané ‘Attar hein
Hein karam Allah ka aur rehmaté Sarkaar hein
-Ban gaey laakhon mubaligh Aap ké zeyré assar
Goung thi jiss ki zaban wo shoolaaé guftaar hein
-Aap ki taqreer mein tehreer mein tahseer hein
Aap ki ulfat mein yaaron saara hi sansaar hein
-Sabz sar pé hein imaamaa zulfé kaali kaali hein
Peyrighan mein sadgee hein baasabaa kirdaar hein
-Mushkilon ké jangalon mein phirr rahé ho kyun oudaas
Al madad ‘Attar kehdo, phir to beyra paar hein
-Baara Madani Qaafilon ka jo musaafir bann gayaa
Bil yaqeen ‘Attariyon, ‘Attar ka wo yaar hein
-Daawaté Islaami ki Mawlah jahan mein dhoom ho
Iss duah ka noor dekho, bal labé ‘Attar hein
-Chil chilaati dhoop gham ki kya bhigarey gi tera
Ey UJAAGAR sar pé teré saaya ey ‘Attar hein
11.MERE GHAWS PIYA JEELANI
Meré Ghaws Piya Jilaani hein mehboobé subhaani
-Chout ti héin to chouté duniya
Ghaws ka daaman na choreingé
Apné galé mein Ghaws ka patta
Ghaws ka daaman na choreingé
Ghaws ké dar par umr guzaari
Ghaws ké dar ké ham hein bhikaari
Iss khounté sé iss ko baandha
Ghaws ka daaman na choreingé
Waliyon né di ounko salaami
Abdaalon né ki hein ghulaami
Uncha rahéga ounka jhanda
Ghaws ka daaman na choreingé
Ghaws ka daaman kaisé chorein
Jismo rooh ka naatan unsé
Unsé thehra deen ka rishta
Ghaws ka daaman na choreingé
Unké haath mein haath diya hein
Khud ko UJAAGAR bech diya hein
Ab na kabhi choreingé wallah
Ghaws ka daaman na choreingé
Ghawsé Paak ké chahné waalo
Saath UBAID ké mil ké kehdo
Marté dam tak insha Allah
Ghaws ka daaman na choreingé
12.Sarkar ki amad hoti hien
Ab jhoom jhoom ke jhoom
Ab jhoom jhoom ke jhoom ke parcham lehraao sarkaar ki Amad hoti hein
Amad ki naghme sab gaao sarkaar ki Amad hoti hein
Sarkaar ki amad marhaba
Sardaar ki amad marhaba
Dildaar ki amad marhaba
Aaqaa ki amad marhaba
Ab jhoom ke parcham lehraao………
Outh jaao nabi deewaanon Aamad ka charchaa Aam karo
Ghar ghar mein mehfil karwaao sarkaar ki Aamad hoti hein
Sab milke eysaa kaam karo paighaam mohabbat Aam karo
Youn Amann ka parcham lehraao sarkaar ki Amad hoti hein
Pooree hoogee dil ki hasraat jo maango gey wo paaoogey
Ab jhooliyan Apni pheilaao sarkaar ki Amad hoti hein
Sab milke parho Ab swalley alaa ke khoob ho Aamad ka charchaa
Tum Aaj zara na sharmaao sarkaar ki Aamad hoti hein
Seerat unki parlo sunlo inn phoolon se daaman bharloo
Youn dil ki kaliyan mehkaao sarkaar ki Aamad hoti hein
Ujley ujley kapron pehnon aur itr lagaa kapron par
Sab mehfile naat mein Aajaao sarkaar ki Aamad hoti hein
Tum khoob MUSAAFIR naat likho bass hardam unki
Youn ishq ki khushboo pheilaao sarkaarki Aamad hoti hein
Bas mera maahi swalley alaa
13.Qasidah meem
Parkar samjo kya hai Meem
Iss ka routba kitna aala
Bas ye jaaney Allah wala
Par dekha parda hai meem
Meem se hi moharbat banaaya
Meem ne mouskouraana sikhaaya
Meem likh likh ke dil me basaale
Meem se marfat ka pataale
Meem se zistegi ibtidaa hai
Meem par khatme Aadam huwa hai
Meem hi mawt ka moutaha hai
Meem se humne markaz parha hai
Meem ne maghfirat ki sadaa hai
Meem hi manzilon ka pataa hai
sachi baat jo na maaney
wo naadan hai aur deewaaney
jannat ka rasta hai meem
Meem se maa ka daaman mila hai
ye douaon ka maskan mila hai
Maa ka saaya baraa mouhtaram hai
Maa ki ahosh baabey karam hai
Maa douah de to jhoom outhe rehmat
Maa ke qadmon ke nichey hai jannat
Maa ke darje ko jissne bi jaana
usski thokar me hai ye zamaana
doud ke eik katre ki qimat
ho nahin sakti dunya ki dawlat
Darse insaaniyat ka parhaaya
neend se outh ke jhoula jhoulaaya
Maa agar sache dil se poukaarey
paida toufaan me ho kinaarey
lo douaein to izzat milegi
Maa ke daaman me rehmat milegi
Maa ke daaman ko na choro
iss se hargiz mouna moro
paakeeza rishta hai meem
Meem hi dekho masjood me hai
Meem hi dekho ma’bourd me hai
Meem hi dekho matloob me hai
Meem hi dekho Mehboob me hai
Meem ki shaan Allahu Akbar
Meem hi se likha rab ne mehshar
Meem hi rehmaton ka khazina
Meem h se hai Makka Madina
Meem se hi mazaa zindagi ka
Meem hi dekho maqdoor me hai
Meem mein saara matlab choupa hai
Meem mein jalwae ab chupa hai
Meem Allah ko pyara hai behad
Meem se likha Naam-e-Mohammad
Oun pal par pal durood bhejo
baat samajne ki hai samjho
jalwa hi jalwa hai meem
14.Salle ala Nabi ye na
Salle ala Nabi ye na salle ala Muhammadin
Salle ala Shafi ye na salle ala Muhammadin
Ham bhi Madine jayenge aaj nahi to kal sahi
Aaqa humein bulayenge aaj nahi to kal sahi
Galiyon mein ghuum ghuum kar khaake Madinah chuum kar
Nazron se ham lagayenge aaj nahi to kal sahi
Galiyon mein jhuum jhuum kar khaakhe Madinah chuum kar
Naat-e-Nabi sunayenge aaj nahi to kal sahi
Dekha jo Unko baanethe mein ne bhi bar ke shawk se
Daste ataa ke samne daste talab barha diya
Aamade Mustafa huwi roshan zamaana ho gaya
Jin ke Huzoor ho gaye unka zamaana ho gaya
Haal dil sunayenge aaj nahi to kal sahi
Bighri apni banayenge aaj nahi to kal sahi
Salle ala Nabi ye na salle ala Muhammadin
Salle ala Shafi ye na salle ala Muhammadin
15.Lo Madine ki tajjali
Lo Madine ki tajjali se lagaye huwe hain
Dil ko hum matlaye anwaar banaye huwe hain
Kashtiyaan apni kinaare pe lagaye huwe hain
Kya woh doobey jo Muhammad ke taraaye huwe hain?
Naam aane se Abu Bakr o Umar ka lab par
Tu Bighardtha hai woh pehloon mein sulaye huwe hain
Hazir o Nazir o Noor o Bashar o Ghaib ko chorh!
Shukr kar woh tere ‘aibon ko chupaye huwe hain
Sharm e issyan se nahi saamnay jaaya jaata
Yeh bhi kya kam hai, tere Shehr mein aaye huwe hain?
Ik jhalak aaj dikha Gumbad e Khazra ke Makeen
Kuch bhi hain, dhoor se deedar ko aaye huwe hain
Sar pe rakhdeejiye zara dast e tassali Aqa
Ghum ke maare hain zamane ke sataye huwe hain
Teri nisbat hi to hai jis ki badaulat hum log
Kufr ke daur mein, Iman bachaaye huwe hain
Kaash deewana banalein woh humein bhi apna
Eik dunya ko jo deewana banaye huwe hain
Bosa e dar se na rouk ab to inhe darbaan
Khud nahi aye yeh mehmaan bulaye huwe hain
Qabr ki neendh se udhna koi aasan na tha
Hum to Mehshar mein Unhe dekhne aaye huwe hain
Kyun na palrha terey aamal ka bharee ho Naseer
Ab to Mizaan pe Sarkaar bhi aaye huwe hain
16.Aaye Aaqa Madani Aaqa
Aaye Aaqa Madani Aaqa Mere Pyaare Pyaare Aaqa
Allah Allah Allah Allah Allah Allah
Aaye Aaqa Madani Aaqa
Aamina Bibi Ke Gulshan Mein Aayi Hai Taaza Bahaar
Parhte Hain Sallalaho Wassalam Aaj Dar-O-Deewar
Madani Allah Allah Allah Allah
Baara Rabi Ul Awwal Ko Woh Aaya Rasool-e-Kareem
Mahe-e-Nabuwat Mehr-e-Risalat Sahib-e-Khulq-e-Azeem
Madani Allah Allah Allah Allah
Pyaari Surat Hansta Chehra Moo Se Jhartay Phool
Noor Saraapa Chaand Sa Chehra Haq Ka Pyaara Rasool
Madani Allah Allah Allah Allah
Jibreel Aaye Jhoola Jhulanay Lori De Zeeshan
So Jaa So Jaa Rehmat-e-Alam Do Jug Ke Sultan
Madani Allah Allah Allah Allah
Awwal-O-Aakhir Sab Kuch Jaanay Deekhay Ba’eed-O-Qareeb
Ghaib Ki Khabrein Dene Waala Allah Ka Woh Habeeb
Madani Allah Allah Allah Allah
Hamid-O-Mehmood Aur Muhammad (Peace & Blessings Be Upon Him) Do Jug Ka Sardaar
Jaan Se Pyaara Raaj Dulaara Rehmat Ke Sarkar
Madani Allah Allah Allah Allah
Aaye Aaqa Madani Aaqa Mere Pyaare Pyaare Aaqa
Allah Allah Allah Allah Allah Allah
Aaye Aaqa Madani Aaqa
17.Ya Rasoolallah tere dar ki
Ya Rasoolallah tere dar ki fazaon ko salam
Gumbadé khazra ki thandi thandi chhaon ko salam
-Masjidé Nabawi ke subhon aur shaamon ko salam
Ya Nabi tere ghulamon ke ghulamon ko salam
-Jo Madiné ki gali koochon mein deté hein sadaa
Oun faqeeron raahgiron aur gadaon ko salam
-Waaléhana jo tawaafé rawzaé aqdas karé
Maston bekhud wajd karti oun hawaaon ko salam
-Jo parha karté hein roz-o-shab tere darbaar mein
Peish karta hai Zahoori oun salamon ko salam
18.YA ALLAH MERI JHOLEE BHARDEY
Imran Sheikh Attari Qadri
Toune mujhko hajj pe bulaaya , ya allah meri jholee bhardey
Pyaara pyaara ka’aba dikhaaya , ya allah meri jholee bhardey
Dikhlaaya arafaat ka manzar , ye bhi karam hain ye bhi karam kar
Baksh de har haajee ko khudaaya, ya allah meri jholee bhardey
Behre kawthar beery zam zam , karde karam ey rabbe akram
Hashr ki pyaas se mujhko bachaana , ya allah meri jholee bhardey
Mawlah mujhko neik banaadey , apni ulfat dil main basaade
Behre safaa aur behre marwaa , ya allah meri jholee bhardey
Jannat main Aqaa ka paroosee ban Jaey ATTAR ilahee
Behre raza-o-qutbe madina , ya allah meri jholee bhardey
19.MERAAJ NABI SUBHANALLAH
Hafiz Tahir Qadri
MERAAJ NABI SUBHANALLAH MEHRAAJ NABI SUBHANALLAH
SUBHANALLAH SUBHANALLAH SUBHANALLAH SUBHANALLAH
Mere Muhammad pyaarey baney hain dulha Mere Muhammad baney hain dulha
Wo sarware kishware risaalat jo arsh par jalwagar huwe the
Naye niraalee tarab ke saamaan arab ke mehmaan ke liye the
Bahaar hai shaadiyan mubaarak chaman ko aabaadiyan mubaarak
Malak falak apni apni lai mein ye ghur anaadil ka boltey the
Wahan falak par yahan zameen mein rachi thi shadi machi thi dhoomein
Udhar se anwaar haste aate idhar se nafhaat uth rahey the
Ye jhooma meezaabe zar ka jhoomar kea a raha kaan par dhalak kar
Phuhaar barsi to moti jhadkar hateem ki goad mein bhare the
Gubaar ban kar nisaar jaayein kahaan ab us rahguzar ko paayein
Hamaare dil hooriyon ki aankhein farishton ke par jahaan bichhe the
Utaar kar unke rukh ka sadqa ye nor ka bat raha tha baada
Ke chaand sooraj machal machal kar jabeen ki khairaat maangtey the
Wahi to ab tak chalak raha hai wahi to joban tapak raha hai
Naheene mein jo gira tha paani katorey taron ne bhar liye the
Bacha jo talwon ka unke dhowan banaa wo jannat ka rango rogan
Jinhon ne doolha ki paai utran wo phool gulzaaree nooe ke the
Buraaq ke naqsh sum ke sadqe wo gul khilaaye ke saare raste
Mahekte gulban lahekte gulshan hare bhare lehlahaa rahe the
Namaaz-e-aqsa mein tha yehin sir ayaan ho maa’ni-e-awwal aakhir
Kedast bastaa hain peechhe haazir jo saltanat aagey kar gaye the
Ye unki aamad ka dabdaba tha nikhaar har shaye ka ho raha tha
Nujoom-o-iflaak jam-o-meena ujaalte the khangaalte the
Yehin samaa tha ke paik-e-rehmat khabar ye laaya ke chaliye hazrat
Tumhaari khaatir kushaada hain jo kaleem par band raaste the
Badh aye mohammad qareen ho ahmed qareeb aa sarware mumajjad
Nisaar jaaoun ye kya nida thi ye kya samaan tha ye kya maz’e the
Tabaarakallah shaan teri tujhi ko zeba hai be niyaazi
Kahin to wo josh-e-lan taraani kaheen taqaaze wisaal ke the
Hijaab uthne main laakhon parde har eik parde mein laakhon jalwe
Ajab ghari thi ke wasl-o-furqat janam ke bichde galey mile the
Zabaanein sookhi dikhakhe maujein tarap rahi thein ke paani paayein
Bhanvar ko ye zauf tishnagi tha ke halqe aankhon main par gaey the
Wahi hai awwal wahi hai aakhir wahi hai baatin wahi hai zaahir
Usi ke jalwe usi se milne usi se uski taraf gaye the
Khuda ki qudrat ke chaand haq ke karooron manzil mein jalwa kar ke
Abhi na taaron ki chaun badly ke nor ke tarke aa liye the
Nabi-e-rehmat shafi-e-ummat RAZA pe lillah ho inaayat
Ise bhi un khil’aton se hissa jo khaas rehmat ke waan bate the
Sana-e-sarkaar hai wazeefa qubool-e-sarkaar hai tamanna
Na shaayeri ki hawas na parwa rawi thi kya kaise qaafiye the
20.MAA KI DUAH JANNAT KI HAWA
HAFIZ AHSAN QADRI
Khuda ne mujhko diya maa teri duaaon se
Mila hein job hi mila maa teri duaaon se
Jahan jahan bhi gaya log dil bichaane lagey
Ye ehteraam mila maa teri duaaon se
Maa ki duah jannat ki hawa Maa ki duah jannat ki hawa
Ye kamiyaabiyan shohrat qadam qadam pe milee
Naseeb eysaa mila maa teri duaaon se
Tawaaf main ne kiya kee sa’ai-e-marwaa bhi
Jo main ne umra kiya maa teri duaaon se
Mujhe giraane pe haasid toule huwe the magar
Main dushmanon se bachaa maa teri duaaon se
Qasam hain iss mein UJAAGAR ka kuch kamala nahin
Uruj isko mila maa teri duaaon se
Maa ki duah jannat ki hawa Maa ki duha jannat ki hawa
21.Peer ka ghulam
Peer ka ghulam ho gaya Peer sé jo pyaar kar liya
Mera ehteraam ho gaya Kyun ké main to Peer ka ghulam ho gaya
Mujh ko koyi jaanta na thaOunké sadqé naam ho gaya
Kyun ké main to Peer ka ghulam ho gaya
Peer né du’a Haram ki deeKhud hi intezaam ho gaya
Kyun ké main to Peer ka ghulam ho gaya
Seené par jo haanth rakh diyaTooté dil ka kaam ho gaya
Kyun ké main to Peer ka ghulam ho gaya
Dil ki baatein dil sé kar gayaManqabat ka naam ho gaya
Kyun ké main to Peer ka ghulam ho gaya
Rang nisbaton ké chhar gaéMera ouncha daam ho gaya
Kyun ké main to Peer ka ghulam ho gaya
Faiz hai UJAAGAR aap parAam jo kalaam ho gaya
Kyun ké main to Peer ka ghulam ho gaya
22.Mein bura hoon ya bhala hoon meree laaj ko nibhana
Milad Raza Qadri
Mein bura hoon ya bhala hoon meree laaj ko nibhana
Mujey jaanta hey saajan tere naam se zamaana
Chaukat pe agaya hoon sarkar aaj sun loo
Mere dhuk bharee kahaani mera dhuk bhara fasaana
Teri aashiqi se pehle mujey kaun jaanta tha
Tere ishq ne banaa dee meri zindagi fasaana
Mujhe iss ka gham nahin hain ke badal gayaa zamaana
Meri zindagi hein tumse kahee tum badal na jaaana
Wo nawaznain pey aeyn to nawaaz dayn zamaana
Wo kareem hee jo tehray to karam ka kya tikhaana
Tere naam se ZAHOORI mujhey jaanti hein duniya
Tera ho gaya hoon jab se mera ho gayaa zamaana
23. RABBE SALLIM A’LA RASULALLAHRASHID AZAM
Rabbe sallim a’la rasulallah Rabbe sallim a’la rasulallah
Marhaba marhaba rasulallah Marhaba marhaba rasulallah
Aap ko aaminah mubaarak ho nor se ghar sajaa mubaarak ho
Aaey nurul khuda rasulallah
Kaash pohchaaoun main durud-o-salaam
Tere rawze ki ya rasulallah
Jashne meelaad ka samaan dekho noor hee noor hain jahan dekho
Aagaey marhaba rasulallah
Naam lab pe nabi ka aata hain mushkilon se hamein bachaata hain
Sab ki mushkil khusha rasulallah
Jinki ghar pe huzoor aatey hain rehmatein wo khuda ki paatey hain
Hein habeebe khuda rasulallah
Baat mehraani ki bhi bann jaey raat din aap ke ye gunn gaey
Hain meri iltija rasulallah
Jab dame waapsee ho yaa allah lap pe ho laailaaha illallah
Hain Muhammad mere rasulallah
24.HUM KHAAK HAIN
Owais Raza Qadri
Hum khaak hain aur khaak hi maawa hai hamaara
Khaki to wo aadam jade aala hai hamara
Allah hamein khaak kare apni talab mein
Ye khaak to sarkaar se tamgha hai hamara
Jis khaak pe rakhte the qadam sayyide aalam
Us khaak pe qurbaan dil-e-shaida hain hamara
Usne laqabe khaak shahenshaah se paaya
Jo haidare karraar ke maula hai hamara
Aye muddaiyo khaak ko tum khaak na samjhe
Iss khaak mein madfoon shahe bat-ha hai hamaara
Hai khaak se taameer mazaa-e-shahe kawnain
Ma’moor isi khaak se qibla hai hamara
Ham khaak uraeinge jo wo khaak na paayi
Aabaad RAZA jiss pe madina hai hamara
25.Ya Nabi Salam alaika
Ya Nabi salam alaika, ya Rasool salam alaika
Salawa tullah alaika, ya Habeeb salam alaika
Hashr mein sab eik kinaré ummati ké dam ko maaré
Aagaé jab wo to saaré, dekh kar ounko poukaré
Eik jhalak jo dekh paaoun, jaan mein tum par lootaoun
Raah mein ankhein bichaaoun, dasta basta phir sounaoun
Naayibé ashaab-o-sawar pehlé hein Siddiqué Akbar
Phir Umar Uthman-o-Haidar, bheijié salam oun par
Deené haq ki dhaal donon, hein ye bémisaal donon
Fatima ke laal donon, Mustafa ki aal donon
Iss jahan se jab safar ho, roou-e-paak par nazar ho
Yeh karam NASEER par ho, ouska sar ho tera dar ho
26. Ghulaam houn huzoor ke ghulaamon ka ghulaam houn
Ghulaam houn ghulaam houn huzoor ka ghulaam houn
Ghulaame panjatan houn main huzoor ka ghulaam houn
Ali ka main ghulaam ghulaame faatimah houn main
Hussain ka ghulaam houn Hassan ka main ghulaam houn
Ghulaamiye rasool main mawt bhi qabool hain
Jo hoo na ishqe Mustafa to zindagi fuzool hain
Daraaeingee bhalla kissey ye rastey ye sakhtiyan
Main azmate rasoul ka paasban houn paasban
Nabi ki aal par mera lahou fidaa ye jaan fidaa
Main chaadare batool ka paasban houn paasban
Sadaa-e-karbala houn main najaf ka peyherdaar houn
Shahaadate hussain ka paasban houn paasban
Bilal ne jo sakhtiyan nabi ke naam par sahee
Zamaaney bhar ko kehdiyan huzoor ka ghulama houn
27.TEYBAH KII HAIN YAAD AAI
Asad Hussain
Teybah kii hain yaad aii ab askh bahaane do
Mehboob ne aana raahon ko sajaane do
Mushkil ho agar mera Teybah main abhi jaana
To ey baade saba meri aahon ko to jaane do
Main teri ziarat ke kaabil houn to nahin maana
Yaadon ko shaha apni khwaabon to aane do
Jo chaho sazaa deyna mehboob ke darbaanon
Ik baar to jaali ko seene se lagaane do
Aur main teri ziarat ke kaabil to nahin maana
Yaadon ko shaha apni khuwaabon main to aane do
28.bharde jhoolee khuwaja
Bharde jhoolee bharde bharde jhoolee bhardey khuwaja Bharde jhoolee bhardebhardey jhoolee bhardey khuwaja
Naam ghareeb nawaaz hein tera ya khuwaja meri jhoolee bhardey
Main bhi houn tera hee mangta ya khuwaja meri jhoolee bhardey
Hindustan ka zarra zarra pyaare tere nor se chamka
Mere dil ko bhi de chamka ya khuwaja meri jhoolee bhardey
Jab bhi koyi mangta darsey tere faiz ki bharka barsey
Tere karam ka mein houn pyaasa ya khuwaja meri jhoolee bhardey
Tujhko rab ne dee hein taakat teri hain har dil pe hukoumat
Mere khuwaja tou hein data ya khuwaja meri jhoolee bhardey
Kaash mein tere urs pe aakar apni jhoolee ko pheilaakar
Main bhi poukaaroun khuwaja khuwaja ya khuwaja meri jhoolee bhardey
Kehta hain aaj MUSAAFIR dar pe hoojaoun mein haazir
Mujhko dikhaa kar apna jalwaa ya khuwaja meri jhoolee bhadey
29.Wah wah subhanallah Wah wah subhanallah
Owais Raza Qadri
Wah wah subhanallah Wah wah subhan allah
Wah wah subhanallah Wah wah subhan allah
Naat ki tawfeek bakhshi ey khuda tou ne hamein
Iss se bar kar aur kya im’aam hooga wah wah
Maahe ramzaan-ul- mubaarak ki ye pyaarii sa’atein
Aur naghmein hain labon par Mustafa ke wah wah
Mulke Pakistan ke ye pyaarey pyaarey naatkhwaan
Inko sunkar bool uthaa saara zamaana wah wah
Lab se to naatein paree hain ab a’mal se bhi parho
Chaahtey ho do jahan main ho tumhaaree wah wah
Kya muqaddar toune payee ey UBAID QADRI
Naat sunna naat parna naat likhna wah wah
30.Ya Ghous Piya rang do
Farhan Ali Qadri
Ya Ghous Piya rang do mori eysee chunariya
It raey phiron sari mein Baghdad nagariya
Chunari ko mori rang do rang choot naan jaey
Muhabat bhi aisi bhar do dil tout na jaey
Hooti hain bari choor zamanay ki nazariya
It raey phiroun sari mein Baghdad nagariya
Khush ho ke chala houn mein Ghaws-ul-wara ke ghar
Ruk ruk kay keh raha hain mujh se ye mera dil
Aawon mein har dam tori Baghdad nagariya
It raey phiroun sari mein Baghdad nagariya
Ya Ghous piya dar pe toray aan kharay hein
Umeed liye dar se toray bahar kharay hein
Hujray say bahar aawo karo ham pe nazariya
It raye phiroun sari mein Baghdad nagariya
Sakhian balaien gaaien hoorain balaien lein
Jitni balaien lay lain outni duaien dein
Panght pe jab aaoun mein toray ghar pe ghagariya
It raye phiroun sari mein Baghdad nagaria
Nice Jani Very Nice!! This New Addition is most important for us!!
thankssssssss
Assalamualaikum
Can u please upload the lyrics of the naat by tahir qadri “mehraaj nabi subhanallah”.jazakallah!
Assalam o alaikum
please post Lyrics of “Mere Attar Ka Sadqa Ilahi, Mera Jazba kisi soorat na kam ho”
Jazakallahu Khairah
assalaam evry1…
euhhmmm…cOuld U plzzz pOst the lyrics Of “MAA KI DUA” by sir taymullah attarii plzz?????
I wntd 2 knOw the naat N I wOuld like tO learn it fOr my mum On her birthday
w slm insha allah i will upload new lyrics very soon including my maa ki duah jannat ki hawa
MASHA ALLAH BOHT KHUBSURAT KALAM HAI OR PARHA B BOHT KHUBSURTI SE HAI.JAZAKALLAH
mashalallah
Insha ALLAH will be uploading loads of new lyrics in the coming weeks
Allah allah karnese allah na milega allah wale he jo allah se miladete he.
Assalam-o-ALaikum Bhai Tahir qadri connect me:
+923218205885 / +923018205885
Assalamkm
i think 1st in Mauritius
site la payé net
Masha Allah
Well done
Allah swt bless us all Ameen
yeah and its free keep visiting and share the website
nice site
Masha alla nic lyrics,visit our website your all wil get more,as our website contents all naats of mahmood raza qadri,
i want to get a lyrics call us to taiba ya rasullallah for my 3 years son plz plz plz Allah apko salamat rakhe or zikre mustofa ki mahfil abad rakhe amin
Asalamoualaikoum
Can you please upload the lyrics of the salam ” saba dare mustafa pe jaa kar, mera daroud-o-salaam kehna” if you have.
Thanks
Moozammil
keep viviting we posting around 300 lyrics soon insha ALLAH
Assalam aliykum…taymullah bhai…..Please can you upload the lyrics of naat (tajdare-haram nigahein-karam) ..N this iz a niC cite**mash’allah**
Assalawalekum can u plz post a lyrics of “NOOR WALE MUSTAFA AAGEHE” by hafiz tahir qadri
insha allah will post lots of lyrics soon
Can you please post lyrics to naat ” Sada o hi rishta sarkar de naal” please i need these before saturday as I want to read this Naat at a mefhil I am holding at my house Inshallah. JZK
punjaabi we dnt share too much sorry..
Assalamuaikum..can you post some naats on Ali. before 21 April 2012.because on 21 april their is Mehfil e mustapha at my place and i want to read some naats on ali..Jazaak allah..
Masha allah can you post some naats & send to my mail address
ASSALAMU’ALAIKUM, can you post the lyrics of “TAQDEER MUJHE LAI…” by Rehan Qadri. JZK